Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho.............
Zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho....................
Woh sitara hai chamakne do yun hi ankhon ...........
Meinkya zaroori hai use jism banakar dekho....................
Paththaron mein bhi zuban hoti hai dil hote hain ...............
Apne ghar ki dar-o-deewar saja kar dekho..............
Faasla nazaron ka dhoka bhi tho ho sakta hai............
Woh mile ya na mile haath badha kar dekho..................
Marna kya hai ye tum kya jano.......
Pahle zindagi jee kar dekho........
Chand ko to khub dekha hoga tumne raato me.........
Kabhi ugate suraj se aankhen mila kar to dekho.........
Lav ko bahut jala chuke tum..........
Ab kabhi bujhati shama ko jala ke dekho.............
Hath me to bahut beshkimati saman chada chuke..........
Kabhi khali rakh hath ko sana kar dekho........
Shower ko to bahut chala chuke tum .........
Kabhi girti barish me khud ko bhiga kar dekho..........
Naav me to bahut ghum chuke tum ...............
Kabhi patvar utha kar majhdhar me nayiya chla kar dekho........
Tuffan to bahut dekhe umne ab tak .........
Kabhi tuffano ko apne pass bula kar dekho........
Sahi zindagi ko janane se pahle ............
Kalpnik kitabe hata kar apni duniya dekho.........
Roti bisurati duniya me kabhi ..............
Apne hath jala kar dekho................
Zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho...................
Dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho.............